Khwahshon k zehar main akhlas ka rus ghool kar
Wo too pathar ho gia do char din hans bool kar
Dil hajoom-e-gham ki zad main tha, sanbhalta kab talak
Ek prinda andhyoon main reh gia par tool kar
Apnay honton par sja lay kemti heroon say lafaz
Apni sorat ki tra batin bhi to anmool kar
Aj us ki had-e-bakhshish hy tray sar say buland
Aj apnay sar say bhi oncha zra kashkool kar
band hathon ka mukadar thin sabhi kirnain magar
Saray jugno ur gay dekha jo muthi khool kar

0 comments:
Post a Comment