Saturday, 1 March 2014

Ek shakh-e-gul pay beth k bulbul hy shadman


Lagta nahin hy je mra ujray diyar main
Kis ki bani hy alam napaidar main

Bulbul ko pasban say na siyad say gila
Kismat main keed the likhi fasl-e-bahar main

Keh do in hasrtoon say kahin or ja basin
Itni jaga kahan hy dil-e-daghdar main

Ek shakh-e-gul pay beth k bulbul hy shadman
Kantay bicha diay hain dil-e-lala zar main

Umar draz mang k lay thay char din
Do arzo main kut gay do entzar main

Din zindgi k khatam hovay sham ho gai
Phela k paon soin gay kanj-e-mazar main

Kitna hy bad naseeb Zafar dafan k liay
Do gaz zamen bhi na mili koay yar main

0 comments:

Post a Comment