Lagay hath koi is badan ko kia gustakh
Na jis badan ko lagi ho kabhi hava gustakh
Ye barg-e-gul nahi, hain bulbloon k lakht-e-jigar
Kadam na rakhyo khyaban main ay saba gustakh
Main rakh dia jo sar apna shab is k zano par
Kaha ye hans k too ab itna ho gia gustakh
Ye saatay k kushai qaba byad aver
K me kushad kisay banda ein qaba gustakh
.jpg)
0 comments:
Post a Comment