Na badlyoon say na hum badloon say dartay hain
Fakat tumharay sya gesoon say dartay hain
Agar hy rasta pur khar too khatar kia hy?
Hum esay log kahan mushkloon say dartay hain
Wo narasa to nahi hy magar kyamat hy
Hum us ko chotay hovay bijlyoon say dartay hain
Hamari us ki mulakat main hain ye hail
Yhi sabab hy k hum barshoon say dartay hain

0 comments:
Post a Comment