Saturday, 1 March 2014

Lala-o-gul pay ye shabnam k chamaktay moti


Ye shab-e-tar, tri zulf ka saya ho ga
Chand taroon nain tra roop churaya ho ga

Ye sahar yeni shafak rang ujaloon ki bihar
Teri shokhi nain ye gulzar khilaya ho ga

Chargh nain roz-e-azal gardish bebak ka bheed
Teri raftar jnoon kheez say paya ho ga

Lala-o-gul pay ye shabnam k chamaktay moti
Ye khazana tri muygan nain lutaya ho ga

Teray araiz k zia bar tajamal ki kasam
Phir koi chand sr-e-bam na aya ho ga

0 comments:

Post a Comment