Saturday, 1 March 2014

Jo lala ho dast-e-hinai k qurban


Jo lala ho dast-e-hinai k qurban
To ho shakh-e-nazuk kalai k qurban

Dikhata hy har rang main jalva apna
main is shokh ki khud numai k qurban

Kadorat bhari dil main mohn par safai
Us aina roo ki safai k qurban

Kahon rutba kia teray dar ka gada ka
K shahi ho jis ki gadai k qurban

Ye ek dil to kia hy agar lal dil hon
To kejiay tri dil rubai k qurban

Vafa ho jo tujh main to kia janay kia ho
K dil hy tri bevafai k qurban

Tray sheva ashnai k sadkay
Tri tarz-e-na ashnai k qurban

0 comments:

Post a Comment