Wednesday, 5 March 2014

Is basti main eik sarak hy jis say hum ko nafrat hy


Chand bhi khoya khoya sa hy taray bhi khabeeda hain
Aj fiza k bojhal pan say lehjay bhi sanjeeda hain

Janay kin kin logon say is dard k kia kia rishtay hain
Hijar ki is abad sra main sub chehray nadeda hain

Itnay barson bad bhi dono tot k miltay hain
Too hy kitna sada dil or hum kitnay pecheeda hain

Sun jana, hum tark-e-talak or kisi din kar lain gay
aj tujhay bhi ujlat si hy hum bhi kuch ranjeeda hain

Kanon main ek sargoshi hy, bemani si sargoshi
Ankhon main kuch khawab sajay hain khwab bhi suba raseeda hain

Ghar ki wo makhdosh emarat gir k phir tameer hoi
Ab angan main peer hain jitnay saray shakh breeda hain

Is basti main eik sarak hy jis say hum ko nafrat hy
Is k nechay pagdandi hy jis k hum garveeda hain

0 comments:

Post a Comment