Saturday, 1 March 2014

Jagtay sotay main kia khawab-e-tarb ankhon main thay


Jagtay sotay main kia khawab-e-tarb ankhon main thay
Yon guzartay thay k jesay roz-o-shab ankhon main thay

Or kia hoti hamin dunya ki dolat ki havas
Wo nigahon k gohar wo lala-e-lab ankhon main thay

Eik barg-e-gul hmaray vastay kafi na tha
Phool thay jitnay nagar main sub k sub ankhon main thay

Manzlain khud roshni ban kar bulati thin hamin
Teri chahat k machaltay deep jab ankhon main thay

Hum unhi ko dhondtay phirtay hain gard-e-wqt main
Kuch sdaon k yahan manzar ajab ankhon main thay

Har taraf pheli hoi the teray chehray ki sahar
Teray husan-e-taza tar k roz-o-shab ankhon main

Ab to khak urti nazar ati hy ta had-e-nazar
Kia wo sub dilkash mnazir bay sabab ankhon main thay

0 comments:

Post a Comment