Saturday, 1 March 2014

Laga wo teer jo us ki kaman main bhi na tha


Laga wo teer jo us ki kaman main bhi na tha
Ye vakia to kisi dastan main bhi na tha

Main kis tra tray jado ko jadvan karta
Ye mojza mray lafz-o-byan main bhi na tha

Rah-e-hayat main ek umar ki tlash k bad
Jo too mila to main khud apnay dhiyan main bhi na tha

Mray dhiyan main har an jis ki ahat thi
Mkan main bhi na tha la mkan main bhi na tha

Sitam to ye hy gham-e-umar raigan ka elaj
Zameen par bhi na tha asman main bhi na tha

Agar shareek na tha main khud apni khilqat main
Koi jvaz mray emtehan main bhi na tha

Ruka hova tha ye darya guzar rha tha main
Ye shaiba mray vehm-o-guman main bhi na tha

0 comments:

Post a Comment