Yar bin shugal may-o-jam k nazdeek nahi
Umar guzri k main is kam k nazdeek nahi
Meva pukhta ka talib hon main is bagh k beech
Hath mera samar kham k nazdeek nahi
Kon sa tair bagarifta ajal ay siyad
Is gulistan main tray dam k nazdeek nahi
Jab say ay rahat-e-jan mujh say hova hy juda
Dil mra rahat-o-aram k nazdeek nahi

0 comments:
Post a Comment