Muntzir rehta hon main us k khulay dar ki tra
Dekhta rehta hon har rah ro ko pathar ki tra
Sabaz ankhin, zulf avara, mahektay surkh hont
Hy khizan k dor main bhi wo gul-e-tar ki tra
Us ki sorat hy khuda k husan ki aina dar
Dosron k darmyan hy wo peyambar ki tra
Us ko milnay ka erada, us ki chahat ka guman
Q mujhay gheeray hovay rehta hy ek dar ki tra
Wo sloni sham wo teray tabasum ki bahar
Yad hy mujh ko kisi gum gashta ki tra

0 comments:
Post a Comment