Saturday, 1 March 2014

Surmai surmai badlon ka haseen silsala cha gia


Surmai surmai badlon ka haseen silsala cha gia
Geet gata hova gungunata hova daf bajata hova

Too kahan hy k khawabon ki pinhayan dhondti hain tujhay
Dhiyan ki vadyon main koi dekhta hy tra rasta

Zindgi hy to ek din kisi mor par mil hi jay gi too
Ay mri roh ki tishnagi ay mri khawahshon ki sada

Jab kabhi rah main pai teri jhalak teri ahat mili
Rang-o-ahang raksan hovay keef-o-masti ka dar khul gia

Zindgi kar-e-mushkil sahi ek freeb musalsul sahi
Phir bhi as ka ye ehsan hy wqt ka marhala kut gia

0 comments:

Post a Comment