Mri mohabat to ek gohar hy tri vafa bay kran sumandar
Too phir bhi mujh say azeem tar kahan gohar hy kahan sumandar
Yakeen hy dhokay main a k utra hy chand pani ki saltnat main
Bulandyon say dikhai deta hy hoo bahoo asman sumandar
Azal say bay simat justajoo ka safar hy darpeesh panyon ko
Kisay khabar kis ko dhondta hy mri tra raegan sumandar
Main tishna lab door say jo dekhon to har traf seel aab paon
Kreeb jaon to reet shula ghubar sahil dhovan sumandar
Hmaray dil main chupay hovay dard ki khabar chashm tar ko ho gi
Suna hy zeer-e-zmeen khzanon ka hy fakat raz dan sumandar
Main estaron ki sar zmeen par utar k dekhon to bheed paon
Bashar musafir hayat sahra yakeen sahil guman sumandar
Jahan jahan sham-e-gham ki afsurdgi ka matam bapa hova hy
Ufak say hans kar glay mila hy vhan vhan meharban sumandar

0 comments:
Post a Comment