Rasta rokay khari hy yhi uljhan kab say
Koi pochay to kahein kia k kidher jatay hain
Chaat ki karyon say utartay hain mray khawab magar
Meri devaron say takra k bikhar jatay hain
Naram alfaz, bhali batin, mohazib lehjay
Pehli barish hi main ye rang utar jatay hain
Is drechay main bhi ab koi nahi our hum bhi
Sar jhukay hoay chup chap guzar jatay hain
0 comments:
Post a Comment