Meri Ankhon ko kanwal phool kaha karta tha
Us ko maloom nahi yad bhi ho k na ho
Wo jo peman-e-mohabat main kia karta tha
Mil gai hon to ginvata hy mujhay bedardi
Mujh ko panay ki Shab-o-roz doa karta tha
Eik sika tha mohabat ka magar tha khota
Kasa-e-dil main brabar jo gira karta tha
Mujh ko Shidat say teri yad sata jati thi
Chand jab kasni badal say mila karta tha
0 comments:
Post a Comment