Qasid ni hath ata kabootar nhi milta
Jata bhi koi hy to tera ghar nhi milta
Mar jaon ga gala kat k main hijar main apna
Par kia kron Zalim mujhay khanjar nhi milta
Anso hy meri chashm main wo gohar nayab
Darya bhi dhondho to ye gohar nhi milta
Ye josh-e-bahar our ye gul or ye sabza
Ye heef k saki hamin saghir ni milta
Kar day tujhay ay rashk-e-pri mera maskhar
Dunya main koi esa fasoon nagar nahi milta
Sherin tera bosa ni hota k jo is main
Dashnam say kuch qand-e-mukarar ni milta

0 comments:
Post a Comment