Zulf k tar say hy rukh pay kahan yar k khat
Sihan-e-gulzar main chaltay hain par amar k khat
Pehan kar har glay main jo wo soya shub ko
Par gay gardin nazuk pay kai bar k khat
Khut to pakra hi gia tha mera lekin niklay
Pass qasid k meray our bhi do char k khat
Khat ariz tra wo hy k na hovay sar sabz
Roo broo koi tray is khat gulzar k khat
Nama bar dekhyay taqdeer main likha kia hy
Yar parta hy mera samnay aghyar ka khat
Yad ai dum-e-tehreer jo wo zulf-e-draz
Ho gia eik brabar kai toomar ka khat
Khenchay hain tar shoai say hamesha sray khak
Mehar bhi roo broo us tabish rukhsar k khat
Mehar sray nama agar hoin na ankhein qasid
Q k maloom hon hasrat kash dedar ka khat

0 comments:
Post a Comment