Sunday, 8 December 2013

Dekh us rashak pri ka bagh main anay ki tra



Dekh us rashak pri k bagh main anay ki tra
Gul greban pharay hain apnay devanay ki tra

Main bhi hon us shula sar kash ka ashiq asman
Rat din phirta hy jis k gird parvanay ki tra

Tesha furhad meray hath aya chahyay
Kis kadar dushvar hy sar say guzar janay ki tra

Ghah hisay main mray ghahay ba kam degray
Sari us ki chasham main niklay hy pemanay ki tra

Sheikh je tum ko bhi ajab khur ho bhala samjho to bat
Dana angoor khata hy koi danay ki tra

Kia samjh kar hum nain ya rab salha sajda kia
Jis jaga kabay ki sorat the na but khanay ki tra

Kal jo wo rastay main wo naga mil gia, thi dedni
Meray reh janay ki vza our us k ruk janay ki tra


0 comments:

Post a Comment