Kia janay kia kray ga ye dedar dekhna
Ek din main aina usay soo bar dekhna
Kesi hy us ki abroay khumdar dekhna
Leni hy, mool us ki ye talwar dekhna
Yan husan ko hy eshq say afat lagi hovi
Zalim koi na ho jo traa dar dekhna
khenchay hain apni apni taraf zulf-o-khal-o-khat
Kitnay hain eik dil k khredar dekhna
Alam ko ek niga say kia too nain katl-e-am
Zalim tak us taraf bhi to yak bar dekhna
Kuch phir to lag chali hy saba us ki zulf say
Mat ho jo is bala main griftar dekhna
Jati hy us k sath chali jan ashkan
In khush kadoon ki khobi raftar dekhna
Behr-e-khuda tum is but-e-ashufta zulf k
Tak dheelay pech-o-lat pati dastar dekhna
Lekin bashart-e-an k tujhay hy meri kasam
Kejo kisi say us ko na azhar dekhna
Bavar ni hy tujh ko agar mera ye sukhan
To aj ja k too ye shab-e-taar dekhna
Cheray hy us ko gheer to kehta hy us say yoon
Koi khara na ho pas-e-devar dekhna

0 comments:
Post a Comment