Kisi sorat ye dil lagta nahi hy
Tumhara rothna acha nahi hy
Yakeen kar lo tmhin ab tak jahan main
Kisi nain is kadar chaha nahi hy
Har ek lab par hamaray tazkray hain
kahan our kis jaga charcha nahi hy
Bandhay ga band kia, mera takhayal
Samundar hy, koi darya nahi hy
Sitara ban k larzan hy muya par
Ye ashk-e-khon hy par behta nahi hy
Miri chahat ko such samjho na samjho
Hakeekat hy koi dhoka nahi hy
Na do is dil k darvazay pay dastak
Yahan ab koi bhi rehta nahi hy
Ghazab hain ap ki sari adain
Ravya ye koi acha nahi hy
.jpg)
0 comments:
Post a Comment